Saturday, 12 October 2013

Eid ka din hai aaj Hum kaise milen.
Phool khushyun k judai me bhala kaise khilen.
Choriyan hath me pehnao yehi hasrat hai.
Kitni majbor judai me Meri ulfat hai.
Mere mehboob jo Aankhon ko teri deed nahi.
Eid k din bhi taman'nao ki to eid nahi.
Subha ki tarha Meri sham bhi veeran ho gi.
Dil bujha ho ga to mushkil me Meri jaan ho gi.
Bin Tere eid ka ye din bhi mujhe raas nahi.
Kis tarhan cheen mile Aaj bhi tu pas nahi.
Yun to rango ki Golabo ki hai har simit bhahar.
Pr Zara sa bhi nahi aaj mere dil ko qarar.
Koi msg Tera mil jaye mujhe pyar bhara.
Phone pr aaj k din baat hi Tu kr le Zara.
Teri Aawaz se kuch dil ko sakon aaye ga.
Eid ka din to kisi tor guzar jaye ga.



sheher me jhashan-e-Eid bhaharan..
ujhre dil me dard hazaran...

Ab k Eid ye kaisi aai......
har so pheli hai tanhai...

na hi usne khat likha hai...
na hi hum ne nazam sunai...

gajre bhi na pehne usne....
na hi usne bal banaye...

Ab k eid ka chaand jo dekha ...
Hum ne bhi na hath uthaye ...

ab k beth k tanhai me na chahat k geet sune hain...
na us k jhore ki khatir hum ne koi phool chune hain..

na hi zikar chala hai us ka
na hi koi mehfil-e-yaraan

Aankhon me selaab hai kaisa.
Aansoo hain ya bad-o-baraan

eid pr wo na ghar se nikli
hum nikle to Aese nikle..
dard ki le kr sari talkhi.
Aankh se jaise Aansoo nikle.

eid k din bs lab se nikla kaisi ye dil soz ghari hai..
na yaroon se hath milaye..
na Masjid me eid parhi hai..

Wese to tha pyar porana..
par is din tajdeed the krte..
dekh k eik dojay ki soorat..
tab hum dono eid the krte..

ab to apna milna jaise ..
Sehraon me bad-o-baraan.



Friday, 11 October 2013



Labon pe haraf na sawal rakhta tha
Kabhi main zabat main itna kamal rakhta tha

Khabar kahan thi mujhe hi wo bhool jaye ga
Ek ek cheez meri jo sambhal rakhta tha

Bichertey waqat bazahar to kuch na bola tha
Magar nigha main so so sawal rakhta tha

Wo muskura ke bohat dair chup raha
Jase hansi ki ar main malala rakhta tha

Suna hai ab bhi log use bohat satate hain
Jis aik shaks ka main bohat khuyal rakhta tha


Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara. 

Tum Zindagi thay uski wo pyar tha Tmhara.

kehte the Tum Mujhe ye main Jaan hn Tumhari.

Tum Chandni ho meri Main Chand hn Tumhara.

Hum sath hi Jeeyen ge. Hum sath hi Marain ge.

Tujhe yaad bhi hai Humdam Wada tha ye Tumhara.

Tum chor gaye Mujh ko. Dharkan me Tum basay ho.

Ye Dil dharakta hai to leta hai naam Tumhara.


Tujhy Pany Ki Hasrat Me Kab Tak Tarsti Rahun..

Koi Aisa Dy Dhoka..

K Meri Saans Toot Jaye..
Teri Jaan Choot Jaye..





Mt Muskurao...

♥ Mat Muskurao Itna Ki Phoolo Ko Khabar Lag Jaye ♥

♥ Karen Wo Tumahari Tareef Aur Tumhein Nazar Lag jaaye ♥


Sunday, 6 October 2013

Mere Hum Sukhan Ka Ye Hukm Tha,
K Kalaaam Us Se Mein Km Karun.

Meray Hont Asay Silay K Phir.
Meri Chup Ne Us Ko Rulaa Diya
.